🐯 1. Kaimur Tiger Reserve: Bihar ka Dusra aur Sabse Bada Reserve
Bihar ko jald hi apna dusra Tiger Reserve milne ja raha hai jo Kaimur mein sthit hoga.
Detail: Ye reserve Valmiki Tiger Reserve (VTR) se bhaugolik roop mein bada hone ki umeed hai.
Exam Fact: Isse tigers ke dispersal (failao) mein madad milegi aur ye Madhya Pradesh ke forest corridors ko Bihar se jodega. NTCA se final approval ka intezar hai.
🌳 2. Patna Green City Plan: 37 Naye Parks
Patna ko pradushan mukt aur hara-bhara banane ke liye 'Green City' mission tez ho gaya hai.
Update: Agle 4 saal mein sheher mein 37 naye modern parks banaye jayenge.
Locations: Patliputra Park aur Atal Park ka kaam tez hai. Kankarbagh, Rajendra Nagar aur Danapur jaise ilakon mein theme-based parks banenge.
🏭 3. Rohtas Rail Factory: Hazaron ko Rojgar
Rohtas ke Dalmiyanagar mein ek badi Rail Wheel Factory ke nirman ko manjoori mil chuki hai.
Impact: Is factory ke banne se Bihar ke local youth ko hazaron ki sankhya mein rojgar milega. Apprenticeship aur skilled training ke liye portal bhi open kiye gaye hain.
जानकारी के मुताबिक, इस परियोजना की लागत लगभग 403.20 करोड़ रुपए है. इसे 219 एकड़ की जमीन पर विकसित किया जाएगा
🥛 4. Muzaffarpur Dairy Hub: ₹85 Crore ka Project
Muzaffarpur ke Dumaria Industrial Area mein ₹85 crore ki laagat se ek naya Dairy Processing Unit lagne ja raha hai.
Detail: Ye unit Osam Dairy brand ke under sthapit hogi aur lagbhag 7 ekad mein faili hogi. Isse North Bihar mein dudh utpadakon ko sidha fayda hoga.
🍬 5. East Champaran (Chakia) mein Modern Sugar Mill
East Champaran ke Chakia (Mahuawa) mein naya Sugar Mill lagne ki taiyari hai.
Inspection: National Federation of Co-operative Sugar Factories (NFCSF) ki team ne Mahuawa mein site survey poora kar liya hai.
Fayda: Isse Kalyanpur aur Bara Chakia ke ganna kisanon ki samasya hal hogi.
🚫 6. Gutkha aur Pan Masala par ek saal ka Ban
Health & Safety ko dhyan mein rakhte huye Bihar sarkar ne bada faisla liya hai.
Rule: Tumbaku aur nicotine yukt Gutkha aur Pan Masala ke utpadan, bhandaran aur bikree par 30 March 2027 tak poora ban badha diya gaya hai.
⛰️ 7. Munger Dhol Pahadi: Naya Eco-Tourism Hub
Munger ke Asarganj mein sthit aitihasik Dhol Pahadi ko eco-tourism ke roop mein vikasit kiya jayega.
Budget: Sarkar ne iske liye ₹12.49 crore ki rashi manjoor ki hai. Yahan paryatan ke saath-saath dharmik aur samajik gatividhiyon ke liye infrastructure taiyar hoga.
🐟 8. Fisheries Hub: Patna aur Chhapra mein Naya Network
Bihar ab Hyderabad par nirbhar nahi rahega. Patna ke Nandlal Chhapra mein 5.68 ekad zameen par National Fisheries Development Board (NFDB) ka regional office khulega.
Impact: Bihar, Jharkhand aur Odisha ke machhli palakon ko yahan se seedha training, subsidy aur quality seeds (beej) milenge.